Wo Jiski Deed Mein

Woh jiski deed mein laakhoun masarratein pinhaaan
Woh husn jiski tamanna mein jannat pinhaan

Hazaar fitney tah-e-paa-e-naaz khaak-e-nasheen
Har eik nigaah khumar-e-shabaab se rangeen

Shabaab jis se takhaiyul pe bijliyaan barsein
Waqaar jiski rafaqat ko shokhiyaan tarsey

Ada-e-laghzisheiy paa par qyamatein qurbaan
Bayaz-e-rukh pey sahar ki sabahatein qurbaan

Siyaah zulfoun mein badaaon sa nikhatoun ka hujoom
Taweel raatoun ki khwabeedah raahatoun ka hujoom

Woh aankh jiski banao pe khaliq dey raae
Zabaan-e-shair ko tareef kartey sharmaae

Gudaaz jism qaba jispe sajke naaz karey
Daraaz qad jisey sarw-e-sahi namaz karey

Kisi zamaney mein is rah-guzar sey guzraa thaa
Ba-sad guroor-o-tajammul idhar sey guzraa thaa

Aur ab ye raah guzar bhi hai dilfareb-o-haseen
Hai uski khaak mein kaif-e-sharab-e-sair makeen

Hawa mein shokhi-e-raftaar ki adaaein hain
Faza mein narmi-e-guftaar ki sadaen hain

Garaz vo husn is raah ka juzu-e-manzar hai
Niyaz-e-ishq kou eik sajda gaah maiyassar hai

SAM

0 comments:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...