hewlon ka ta,aqub kar raha hoon
khayaloon ko pakarna chahta hoon
jo tujh ko muskrata dekhta hoon
tera apna ta,aluq sochta hoon
fareb e aagehi men aa gaya hoon
wagarna soch sey bhi maawra hoon
kharey paani men pather phenkta hoon
siley honton sey yeh kaya bolta hoon
tujhey ik martaba phir milna chahoon
k terey gaaon se janey laga hoon
main bedaari men terey khwab dekhon
mundi aankhon se tujh ko sochta hoon
samey ka phair mijh pe chaa gaya hai
main ik sooraj hoon or gehna gaya hoon
faza ki wasaten jab yaad aaeen
qafas men phar phara kar reh gaya hoon
na mera dost koi or na dushman
to phir kiyoon rat bhar main jagta hoon
na paas aao k dhans jaao gi tum bhi
k main gurbat ki daldal men khra hoon
woh tera dekhna tirchi nazar sey
k main khush fehmioon men kho chala hoon
yeh hai bunyad anjum dosti ki
k main tanhaioon sey dar gaya hoon
SAM
0 comments:
Post a Comment