chiraagh jalte rahein ya hawa teher
jaaye
teri nigah pe har silsila teher jaaye
teher gaaya hai sar-e-shaam behta darya bhi
kahiin yeh ab tu dil mubtila teher jaaye
kisi bhi hurf main taaseer nahin rehti
dilon k beech agar fasla teher jaaye
kisi ki wasal ka aaya nahin abhi mausam
koi bahaar se keh do zara teher jaaye
fana ka khel hai hasti tu kaise mumkin hai
zawal-e-umar ka yeh silsila teher jaaye
palat k aayein zamane wahi mohabbat k
k rang chalne lagein aur sabaa teher jaaye
kisi ka saath mile aur is tarhaan AMJAD
k waqt chalta rahe raasta teher jaaye...
SAM
0 comments:
Post a Comment