Wo Jiski Deed Mein

Woh jiski deed mein laakhoun masarratein pinhaaan
Woh husn jiski tamanna mein jannat pinhaan

Hazaar fitney tah-e-paa-e-naaz khaak-e-nasheen
Har eik nigaah khumar-e-shabaab se rangeen

Shabaab jis se takhaiyul pe bijliyaan barsein
Waqaar jiski rafaqat ko shokhiyaan tarsey

Ada-e-laghzisheiy paa par qyamatein qurbaan
Bayaz-e-rukh pey sahar ki sabahatein qurbaan

Siyaah zulfoun mein badaaon sa nikhatoun ka hujoom
Taweel raatoun ki khwabeedah raahatoun ka hujoom

Woh aankh jiski banao pe khaliq dey raae
Zabaan-e-shair ko tareef kartey sharmaae

Gudaaz jism qaba jispe sajke naaz karey
Daraaz qad jisey sarw-e-sahi namaz karey

Kisi zamaney mein is rah-guzar sey guzraa thaa
Ba-sad guroor-o-tajammul idhar sey guzraa thaa

Aur ab ye raah guzar bhi hai dilfareb-o-haseen
Hai uski khaak mein kaif-e-sharab-e-sair makeen

Hawa mein shokhi-e-raftaar ki adaaein hain
Faza mein narmi-e-guftaar ki sadaen hain

Garaz vo husn is raah ka juzu-e-manzar hai
Niyaz-e-ishq kou eik sajda gaah maiyassar hai

SAM

MAIN TANHAION SAY DAAaR GAYA HOON

hewlon ka ta,aqub kar raha hoon

khayaloon ko pakarna chahta hoon


jo tujh ko muskrata dekhta hoon
tera apna ta,aluq sochta hoon

fareb e aagehi men aa gaya hoon
wagarna soch sey bhi maawra hoon

kharey paani men pather phenkta hoon
siley honton sey yeh kaya bolta hoon

tujhey ik martaba phir milna chahoon
k terey gaaon se janey laga hoon

main bedaari men terey khwab dekhon
mundi aankhon se tujh ko sochta hoon

samey ka phair mijh pe chaa gaya hai
main ik sooraj hoon or gehna gaya hoon

faza ki wasaten jab yaad aaeen
qafas men phar phara kar reh gaya hoon

na mera dost koi or na dushman
to phir kiyoon rat bhar main jagta hoon

na paas aao k dhans jaao gi tum bhi
k main gurbat ki daldal men khra hoon

woh tera dekhna tirchi nazar sey
k main khush fehmioon men kho chala hoon

yeh hai bunyad anjum dosti ki
k main tanhaioon sey dar gaya hoon

SAM

*** A CuTE POEM BY AMJAD ISLAM AMJAD ***


chiraagh jalte rahein ya hawa teher jaaye
teri nigah pe har silsila teher jaaye

teher gaaya hai sar-e-shaam behta darya bhi
kahiin yeh ab tu dil mubtila teher jaaye

kisi bhi hurf main taaseer nahin rehti
dilon k beech agar fasla teher jaaye

kisi ki wasal ka aaya nahin abhi mausam
koi bahaar se keh do zara teher jaaye

fana ka khel hai hasti tu kaise mumkin hai
zawal-e-umar ka yeh silsila teher jaaye

palat k aayein zamane wahi mohabbat k
k rang chalne lagein aur sabaa teher jaaye

kisi ka saath mile aur is tarhaan AMJAD
k waqt chalta rahe raasta teher jaaye...


SAM

~Tujhay Izhar-e-Mohabbat~

Tujhay izhar-e-mohabbat say agar nafrat hai,
Tu nay hontoo ko larznay say too roka hota,

Bay niazi say, magar kanptey awaz k sath,
Tu nay gabhra k mera naam na pocha hota,

Younhi be wajha bhataknay ki zarorat kiya thi,
Dam-e-rukhsat mai, agar yaad na aaya hota,

Hosla tujh ko na tha mujh say juda honay ka,
Warna kajol teri aankhon ka na phela hota

Tujhay izhar-e-mohabbat say agar nafrat hai,
Tu nay hontoo ko larznay say too roka hota,

Meri har aik shab taza azab main guzree
Tumharay baadh tumharay he khawab main guzri

Main aik phool thi jisay woh rakh ker bhool gaya
Phir tamam umr usee ke kitab main guzri.


SAM

TeRY ShEr MAIN

koi mujh ko le chalay mere sheher main
kia khoob zindgi ho gi mere sheher main

baarish kay baad geelee mitti ki khushboo
saanson ko mehkati hai mere sheher main

saath yaaron kay ghumna shaam kay baad
kia khoob yaariaan thin mere sheher main

kia khub hai ye mulk jahan main aan basa hun
per wo baat nahi yahan jo hai mere sheher main

aik dil ruba ka piyaar mujhey khainch laya hai

werna kuch kami na thi mere sheher main

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...